main aur meri PARCHAYI

Main aur meri Parchayi.........

Jahaan main jaaoon,wahaan use paaoon !
Hoke usse bekhabar,apni dhun main gaaoon !!

Yeh har waqt meri nakal karta hain !
Aur har ghadi mere aage peeche ghumtha hain !!

Detha hain har waqt apna pehra !
Phir chaahe woh savera ho yah Andhera !!

Chaahe woh nayaa shehar ho ya nayaa desh !
Yeh badalta nahin apna vesh !!

Samay ke saath chale hum !
Prakruthi ke saath badle hum !!

Par na badle woh aur uska andaaz !
Iski kaaya ka yahi hain raaz !!

Aisi hain yeh Parchayi.....jo har taraf hain chaayi !!

Comments